Thursday, 26 January 2012

pal kuch jindagi ke aisi bhi.....


aaj soch raha hoon kuch ki kahin door na ho jaye tu
chahkar bhi mujhe itna kahin majboor na ho jaye tu
batein kahin dil ki din main hi rakhkhar
Hamesh ke liye jindagi se kahin door na ho jaye tu

Tuesday, 24 January 2012

tujhe bhool paun kaise.


Dil main hai jo arman bo chupaun kaise
koshish karke main jaun door tujhse kaise
Na jaun ye waqt ki jarurat hai ya kuch aur
Pal pal markar bhi tujhe bhool paun kaise.

Monday, 23 January 2012

do boond hai aur kuch nahi


aansuon ki do boond hai aur kuch nahi
ek ehshash bhar hai aur kuch nahi
kya samjhega in koi samajhne wala
dil k jazbaat hai ye aur kuch nahi